Thursday, October 1, 2009

hum jab kho jayenge

Jiss din hogi usko meri Mohabbat ki kadar..
Uss din hum khudaya shukar manayenge,

Woh ro rahi hogi apne dil par
Hum yaadon mein reh reh kar usse tadpayenge,

shayad unhein abhi kadar nhi meri Mohabbat ki,
Par door hone ke baad wahi meri tasveer ko seene se lagayenge,

Dekh lena aye khuda tu bhi bahut royega uss din,
Jab hum tanhai ke aansu liye teri mehphil me gajal sunayenge,

Guroor toot jayega uss hushn ka khud hi ek din....
Jab haste hue hum shamshano ki dhool mein kahin kho jayenge.

mere dil ka dard

Yun to aati nahin ab saans, bin teri yaad k
Lagta hai ab bin tere, reh gaye hai hum khaak k………
Armaan to honge tere dil main bhi bahut,
Magar pure nahin hote, bin Kisi k saath k….
Mohabbat ki had naapi nahin kisine…….
Kuch to mar bhi gaye bin kisi k saath k…..
Kaise kahu main haal e dil apna…
Tu samjh sake to samjh, Meri is mohhabbat ko bin baat k……..
Agar na samjhee to mar jayega phir, ek banda bin chahat k…….

Khatm Hota Yeh Safar Akhir Gamon Ka Kyun Nahi

Jab pyar hi nahi tha toh mujhko fir toka kyun nahi
Teri taraf badhte mere kadamon ko rok kyun nahi

Ab tum baaten karte ho tah umr pyar nibhaane ki
Diya meri jazbaaton ko pahele ik mauka kyun nahi

Har kadam par ki qatl tumne bas meri wafaaon ki
Du teri fitrat ko naam main phir ik dhoka kyun nahi

Dard se dil taar taar hai paa kar ulfat mein bewafai
Khatm hota yeh safar akhir gamon ka kyun nahi

Kis ummid par ab tak jiye jaa rahi hai yu aye 'pari'
Bikhairta meri wajud ko koi hawa ka jhoka kyun nahi

______

Ilzaam fir kismat par lagaaye bhi bahot

Ab talak zakhm humNe khaaye bhi bahot
Dil ko apne hosale dilaaye bhi bahot

Na khata thi apni, aur na chahat ki kami
Ilzaam fir kismat par lagaaye bhi bahot

sabr –e-gham mitane jate rahe maykhane
jaam apne hotho.N se lagaaye bhi bahot

asar aisa kar gaye mujhe par vo paimaane
behoshi mein hum ladkhadaaye bhi bahot

apne dard ko chupakar yunh zamane se
mahefil mahefil hum muskuraaye bhi bahut

Kaise kahe "Ghazal" hum tujhko bewafa?
Waade.N wafaa ke jisene nibhaaye bhi bahot

DIL SE MERE KYU JATA NAHI HAI

Aaj-kal woh nazar aataa nahi hai
Dil se mere kiyon jaataa nahi hai...


Dard ke baadlon se gheera baitha hu
Shakal meri koi pehchaantaa nahi hai...


Khamosh padi hai ghar ki deewaare
Aake mujhe tu ab hansaataa nahi hai...


Mere saamne rakkhi hai tasveer uski
Sukhi aankhon ko maazi rulaataa nahi hai...


Dastak dey ke gai hogi hawa shaayad zara
Mujhe uske hone ka ehsaas deelaataa nahi hai...


Judaai ka aalam aur kitni dair tak rahega
"Naresh" ko waqt yeh samjhaataa nahi hai...

RAAT BHAR

Dard-e-Hijr dasta raha raat bhar,
Koi behad yad aata raha raat bhar,

Aahat us ke aane ki satati rahi rat bhar,
Wo chah k bhi na aa saka raat bhar,

Suraj ki kiran, jab khirki se jhanki to ehsas hua,
Main to intezaar-e-yaar mei so bhi na saka rat bhar,

Is qadar main khoya tha kisi ki yaad mein, HSN!
Mai jesey main nahi raha raat bhar...

Us benam saks ko aaj bhula di humne

Us benam saks ko aaj bhula di humne
apne pyar ko sade aam nilam kar di humne
Rafta rafta bikhar gayi thi jiske chahat main
aaj khud ko fir se samet liya maine
yaad uska ab aayega bhi nehin
apne dilse usko nikala humne
Gumnam ho jayega andhre main
har paal mera imtehan leta raha woh
har roz mujhko aajama raha woh
bachi kuchhi armaan jo dil main tha
usko bhi kaal tod diya woh
Apne zindegi se aaj usko ruksat kiya humne
us benam saks ko aaj bhula diya humne

HUM SIRF TERI KHATIR JETAY HAIN

Jab bhi hum us PARI ko be-inteha yaad karte hain
Sab se chup kar ghanto beth kar ro lete hain

Us k ishq ne hum se cheen lia hai tareeqa-e-zeest
Tabhi to log humien pagal, dewaana kehte hain

Dil dartay dartay sawal karta hai mujh se hamesha!
Ab wo milay gi to batao ge, k aap rat bhar tarapte hain

Main dil per haath rakh kar usay samjhata hon,
Hum to apna gham bas apne ander hi sehte hain,

Hum to chah kar bhi us se iqrar-e-ishq kar nahi paye
Zauq-e-deed liye bas ISHQ ki aag mein jalte hain

HSN! Khuda waastay unhien ja kar aaj bata bhi do!
HUM SIRF TERI KHATIR JETAY HAIN
HUM SIRF TERI KHATIR JETAY HAIN............

DARD


एक सच्चाई को अफसाना बनाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


गम का तूफ़ान तो आँखों में सिमट जाता है |
दर्द जब हद से गुजरता है तो मिट जाता है ||
हम यह आईना हकीकत को दिखाए कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


आग घर की हो तो पानी से बुझा सकते है |
दर्द की आग को अश्को से बुझा सकते है ||
आग पानी मे लगी हो तो बुझाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


हरेक आँख मे अश्को का समन्दर आया |
हरेक दिल में गमो का है अँधेरा छाया||
ऐसे माहोल मे जश्न मनाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


बुझा चराग नशेमन को फूंक सकता है |
तैरने वाला भी साहिल पे डूब सकता है ||
जब बुरा वक़्त हो तो ख्वाब सजाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


हरेक लब पे है ताला तो क्या बया होगा |
राज़ इस क़त्ल का कैसे कहो अया होगा ||
इस अंधेरे मे कोई शम्मा जलाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


सबके दिल मे जो छिपा है वो नाम किसका है |
हर कोई सोच रहा है ये काम किसका है ||
उसके चेहरे पे पड़ा पर्दा हटाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


कौन दुश्मन है दोस्त कौन है खुदा जाने |
वो मसीहा है या कातिल है कौन पहचाने||
शक उंगली को किसी पर उठाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


हर नयी कीमती शय जो खरीद सकता था |
वो चंद लम्हे न अपने लिए खरीद सका ||
ये जो कानून है कुदरत का मिटाए कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?


जिसने खुशिया ही बिखेरी हो सबके जीवन मे |
फूल ही जिसने सजाये हो सबके आगन मे ||
उसके जाने पे बहारों को मनाये कैसे ?
क़त्ल का राज़ जमाने से छिपाए कैसे ?